Aslam Mahmood

dasht marub hai kitna meri virani se

Aslam Mahmood

dasht mar.ūb hai kitnā mirī vīrānī se
muñh takā kartā hai har dam mirā hairānī se
log dariyāoñ pe kyuuñ jaan diye dete haiñ
tishnagī kā to ta.alluq hī nahīñ paanī se
ab kisī bhaav nahīñ miltā ḳharīdār koī
gir ga.ī hai mirī qīmat mirī arzānī se
ḳhud pe sau jabr kiye dil ko bahut samjhāyā
raas aa.ī kahāñ duniyā hameñ āsānī se
ab ye samjhe ki añdherā bhī zarūrī shai hai
bujh ga.iiñ āñkheñ ujāloñ kī farāvānī se
ajnabī āhaTeñ anjān sadā.eñ mujh meñ
maiñ to baaz aayā ḳharābe kī nigahbānī se
aa gayā kaun ye aaj us ke muqābil 'aslam'
ā.īna TuuT gayā aks kī tābānī se
Top Urdushayar.com