Maqsood Afaq

mahshar-e-hijr tera surat-e-KHas samne hai

Maqsood Afaq

1991
mahshar-e-hijr tirā sūrat-e-ḳhas sāmne hai
ik baras biit gayā ek baras sāmne hai
sūrat-e-ishva-e-ḳhāshāk hai āvāra vajūd
kyā sambhal pā.egā dariyā-e-havas sāmne hai
harf-e-shart aatā hai jab terī zabāñ par sar-e-shām
aisā lagtā hai ki ik aur qafas sāmne hai
jaane kis vaqt ye uḌ kar mire dil tak pahuñche
manzileñ duur haiñ āzār-e-jaras sāmne hai
is kā honā bhī na hone kī tarah hai 'āfāq'
is tarah hai vo mire sāmne bas sāmne hai
Top Urdushayar.com