tapte sahrā meñ kahīñ koī shajar aatā hai
dard par tark-e-sukūnat kā asar aatā hai
sadma-e-hijr se mahfūz rakhūñgā tujh ko
mujh ko qistoñ meñ bichhaḌne kā hunar aatā hai
din guzar jaatā hai ta.abīr kī hasrat le kar
raat hotī hai to phir ḳhvāb utar aatā hai
jab se jaane haiñ mohabbat ke favā.ed ham ne
ek hī shaḳhs ka.ī baar nazar aatā hai
dard-e-furqat meñ tirī āñkheñ faqat giilī huiiñ
merī āñkhoñ meñ miyāñ laal color aatā hai
hijr kī shab mire pahlū meñ rahā terī tarah
vo sitāra jo bahut duur nazar aatā hai
koī āvārgī-e-shahr se bach hī na sakā
ab parinda bhī kahāñ shaam ko ghar aatā hai
mujh ko chamkā ga.ī 'āfāq' baḌoñ kī sohbat
jaise qatre pe samundar kā asar aatā hai