Maqsood Afaq

apni jaanib tere dil ke sabhi gham khinchte hain

Maqsood Afaq

1991
apnī jānib tire dil ke sabhī ġham khīñchte haiñ
tere apne to baḌhā dete haiñ ham khīñchte haiñ
haa.e ai zindagī ab terī masāfat ke azaab
baiTh jaate haiñ kisī saa.e meñ dam khīñchte haiñ
vahshat-e-zulmat-o-tanhā.ī ke lashkar haiñ udhar
jis taraf mujh ko tire rahm-o-karam khīñchte haiñ
safha-e-hastī-e-fānī pe ba-har-sūrat-e-shauq
jo lakīreñ nazar aatī haiñ vo ham khīñchte haiñ
mai se tauba bhī hai lāzim tirī taqlīd bhī farz
kyā karūñ ab jo tire naqsh-e-qadam khīñchte haiñ
ham junūñ-zād haiñ jazbāt ke qaa.il 'āfāq'
kab tire hijr meñ zanjīr-e-alam khīñchte haiñ
Top Urdushayar.com