Wajeeh Sani

honT masruf-e-dua aankh sawali kyun hai

Wajeeh Sani

Karachi, Sindh, Pakistan

1979
hoñT masrūf-e-duā aañkh savālī kyuuñ hai
dil ke mānind mirā zehn bhī ḳhālī kyuuñ hai
vo to nārāz hai mujh se to phir āḳhir us ne
muskurāhaT sī mirī samt uchhālī kyuuñ hai
us ko hairat mire sheroñ pe nahīñ is par hai
mere shāne pe jo chādar hai vo kaalī kyuuñ hai
vo bhī kyā din the tirī soch ko chhū saktā thā
ab tirā aks faqat aks-e-ḳhayālī kyuuñ hai
kyā batāoge ki ham meñ se vafā kis ne kī
tum ne mahfil meñ mirī baat nikālī kyuuñ hai
is irāde se meñ baiThā thā ġhazal likhne ko
sochtā huuñ tirī tasvīr banā lī kyuuñ hai
ab maiñ jaane nahīñ detā to burā māntī ho
is qadar pyaar kī aadat mujhe Daalī kyuuñ hai
Top Urdushayar.com