raat aatī hai to tāqoñ meñ jalāte haiñ charāġh
ḳhvāb zinda haiñ so āñkhoñ meñ jalāte haiñ charāġh
āñdhiyāñ ab hameñ mahsūr kiye baiThī haiñ
ab to ham sirf ḳhayāloñ meñ jalāte haiñ charāġh
Thokareñ khāte hue umr kaTī apnī so ham
dūsroñ ke liye rāhoñ meñ jalāte haiñ charāġh
tanz kartā huā guzrā thā havā kā jhoñkā
tab se ham tez havāoñ meñ jalāte haiñ charāġh
tishna-lab ā.eñge dariyāoñ ke Thukrā.e hue
isī baa.is to sarāboñ meñ jalāte haiñ charāġh
ḳhvāb bikhre haiñ hamāre yahāñ har gaam so ham
shaam hote hī ḳharāboñ meñ jalāte haiñ charāġh