dam-e-visāl ye hasrat rahī rahī na rahī
jamāl-e-yār kī hairat rahī rahī na rahī
use ye naaz thā ḳhud par ki zindagī hai mirī
so zindagī kī haqīqat rahī rahī na rahī
kamāl kar ke dikhāyā hai merī āñkhoñ ne
ab in meñ pahlī sī vahshat rahī rahī na rahī
lagā huā hai zamāna isī tajassus meñ
vo mere pahlū kī zīnat rahī rahī na rahī
koī bhī rabt magar dā.imī nahīñ hotā
kisī ke haq meñ tabī.at rahī rahī na rahī
hazāroñ yaar hazāroñ hī chāhne vaale
magar nasīb meñ ḳhalvat rahī rahī na rahī
hai kaisā zor kā tūfāñ bacheñ bacheñ na bacheñ
rahī rahī na rahī chhat rahī rahī na rahī
yuuñ apne jazb meñ gum ho gayā hai ab 'sānī'
sharāb-o-mai kī zarūrat rahī rahī na rahī