nazroñ ke gird yuuñ to koī dā.era na thā
apne sivā.e kuchh bhī magar sūjhtā na thā
sab khiḌkiyāñ thiiñ band koī dar khulā na thā
jaate kahāñ ki ḳhud se pare rāsta na thā
kyā jaane kis ḳhayāl se chup ho ke rah gayā
aisā nahīñ ki ġham mujhe pahchāntā na thā
hoñToñ ke paas aa na sakā jaam umr-bhar
hālāñki fāsla ye koī fāsla na thā
vo jis ne zindagī kā mirī ruḳh badal diyā
vo aap the huzūr koī dūsrā na thā
pūchhī kisī ne raah to chup ho ke rah ga.e
kahte bhī kyā ki ḳhud hameñ apnā pata na thā
ab ke kuchh is tarah se bhī aa.ī 'kañval' bahār
saare chaman meñ ek bhī patta harā na thā