duniyā patthar pheñk rahī hai jhuñjhlā kar farzānoñ par
ab vo kyā ilzām dharegī ham jaise dīvānoñ par
dil kī kaliyāñ afsurda sī har chehra māyūs magar
baaġh mahakte dekh rahā huuñ ghāToñ par shamshānoñ par
patthar dil haiñ log yahāñ ke ye patthar kyā pighleñge
kis ne bārish hote dekhī tapte registānoñ par
jin kī ek nazar ke badle ham ne duniyā Thukrā dī
naam hamārā sun kar rakkheñ haath vo apne kānoñ par
aaheñ aañsū pesh kiye to ghabrā ke muñh pher liyā
un ko shāyad ġhussa aayā mere in nazrānoñ par
kyā taqdīr kā shikva yaaro apnī apnī qismat hai
apnā haath gayā hai aksar TuuTe se paimānoñ par
aaj 'kañval' ham kuchh bhī kah leñ baat magar ye sachchī hai
aaj kā ik ik pal bhārī hai pichhle ka.ī zabānoñ par