ham ko chheḌā to machal jā.eñge armāñ kī tarah
ham pareshāñ haiñ tirī zulf-e-pareshāñ kī tarah
har galī aa.ī nazar kūcha-e-jānāñ kī tarah
ham ko duniyā ye lagī shahr-e-nigārāñ kī tarah
kam na hogī ye ḳhalish dil kī kisī bhī sūrat
dil meñ sau ġham haiñ makīñ ḳhār-e-muġhīlāñ kī tarah
log ruk ruk ke chale jānib-e-manzil lekin
ham rahe garm-e-safar gardish-e-daurāñ kī tarah
ab to har shaḳhs pe hotā hai gumāñ qātil kā
koī miltā hī nahīñ aadmī insāñ kī tarah
ham ne baḳhshe haiñ añdheroñ ko ujāle lekin
ham hī be-nūr rahe gor-e-ġharībāñ kī tarah
ham 'kañval' aap meñ rahte haiñ magar us se alag
ham to gulshan meñ bhī rahte haiñ bayābāñ kī tarah