rañg saare apne andar raftagāñ ke haiñ
ham ki barg-e-rā.egāñ naḳhl-e-ziyāñ ke haiñ
shīsha-e-umr-e-ravāñ se ḳhauf aatā hai
aks is meñ sā.at-e-kam-mehrbāñ ke haiñ
ham ko kyā lā-hāsilī hī ishq meñ gar hai
ham to ḳhūgar yuuñ bhī kār-e-rā.egāñ ke haiñ
tere kūche kī havā pūchhe hai ab ham se
naam kyā hai kyā nasab hai ham kahāñ ke haiñ
ham ko kyā arz o samā ke sab ḳhazānoñ se
ham to āshiq ek ism-e-jāvedāñ ke haiñ
mere partav ne tilism-e-tīrgī toḌā
aur ab raushan manāzir ḳhāk-dāñ ke haiñ
ham ko kyā mauj-e-fanā se ḳhauf aa.egā
muntazir ham ḳhud zavāl-e-rañg-e-jāñ ke haiñ
imtihāñ ye saḳhtiyāñ ye gardisheñ 'aslam'
sab ishāre ek chashm-e-mehrbāñ ke haiñ