D. Raj Kanwal

yunhi jalae chalo dosto bharam ke charagh

D. Raj Kanwal

Sultanpur Lodhi, Punjab, India

1923
yūñhī jalā.e chalo dosto bharam ke charāġh
ki rah na jaa.eñ kahīñ bujh ke ye alam ke charāġh
har ek samt añdherā hai hū kā aalam hai
jalāo ḳhuub jalāo nadīm jam ke charāġh
jahāñ meñ DhūñDte phirte haiñ ab ḳhushī kī kiran
kahā thā kis ne jalāo huzūr ġham ke charāġh
vafā kā ek hī jhoñkā na sah sake zālim
tirī tarah hī ye nikle terī qasam ke charāġh
bujhā diye haiñ vahīñ gardish-e-zamāna ne
jalā.e jis ne jahāñ bhī kahīñ sitam ke charāġh
unhīñ se miltī rahī manziloñ kī lau mujh ko
bahut hī kaam ke nikle rah-e-adam ke charāġh
'kañval' unhīñ se mile raushnī kahīñ shāyad
jalā rahā huuñ yahī soch kar qalam ke charāġh
Top Urdushayar.com