khultī hai chāñdnī jahāñ vo koī baam aur hai
dil ko jahāñ sukūñ mile vo to maqām aur hai
kahtī hai ruuh jism se shāyad tujhe ḳhabar nahīñ
merā maqām tū nahīñ merā maqām aur hai
sahmī huī ye ḳhāmushī hoñToñ kī tere kapkapī
kahtī hai saaf nāma-bar kuchh to payām aur hai
shikva-e-be-ruḳhī pe vo kahne lage ki dekhiye
nazroñ kī baat aur hai dil kā salām aur hai
piite rahe haiñ umr-bhar lekin vahī hai tishnagī
jis kā nasha hai jāvedāñ vo koī jaam aur hai
vaqt-e-gunāh der tak kahtā hai mujh se dil mirā
kār-e-hayāt-e-ishq meñ terā to kaam aur hai
har shai pe is jahān kī pardā hai ik fareb kā
kahte haiñ sab 'kañval' mujhe go merā naam aur hai