duniyā meñ dil lagā ke bahut sochte rahe
kāñToñ ko gudgudā ke bahut sochte rahe
kal sub.h ek shāḳh ye do adh-khilā gulāb
thoḌā sā muskurā ke bahut sochte rahe
kyā jaane chāñdnī ne sitāroñ se kyā kahā
shab-bhar vo sar jhukā ke bahut sochte rahe
TuuTā kahīñ jo shāḳh se ġhuncha to ham vahīñ
pahlū meñ dil dabā ke bahut sochte rahe
kyā jaane kis liye vo nazar ke savāl par
ham se nazar bachā ke bahut sochte rahe
itnā to yaad hai ki mohabbat ke zikr par
hoñToñ ko vo dabā ke bahut sochte rahe
hāthoñ se gir ke chuur huā jaam jab 'kañval'
TukḌe uThā uThā ke bahut sochte rahe