insān nahīñ vo jo gunahgār nahīñ haiñ
vo kaun sā gulshan hai jahāñ ḳhaar nahīñ haiñ
jo log mohabbat meñ giraftār nahīñ haiñ
vo log haqīqat ke parastār nahīñ haiñ
duniyā meñ mayassar hai abhī jins-e-mohabbat
sad haif ki pahle se ḳharīdār nahīñ haiñ
TuuTe haiñ na TūTeñge kabhī bojh se ġham ke
nāzuk haiñ magar ret kī dīvār nahīñ haiñ
dil shauq se deñ aap magar soch samajh kar
duniyā meñ sabhī log vafādār nahīñ haiñ
jab azm-e-safar kar hī liyā aao chaleñ ham
tūfān ke thamne ke to āsār nahīñ haiñ
chaḌhtā hai 'kañval' kaun salīboñ pe ḳhushī se
sab log masīhā ke to autār nahīñ haiñ