ruḳh pe yuuñ jhuum kar vo laT jaa.e
ḳhizr dekhe to umr kaT jaa.e
us nazāre se kyā bache koī
jo nigāhoñ se ḳhud lipaT jaa.e
ye bhī andher ham ne dekhā hai
raat ik zulf meñ simaT jaa.e
jaane tujh se udhar bhī kyā kuchh hai
kaash tū sāmne se haT jaa.e
maut ne khel ham ko jaanā hai
kabhī aa.e kabhī palaT jaa.e
Dūbne tak meñ nā-umīd nahīñ
kab na jaane havā palaT jaa.e
raat guzre na dard-e-dil Thahre
kuchh to baḌh jaa.e kuchh to ghaT jaa.e
un se kah kar bhī dekh leñ ġham-e-dil
'saif' ye kaam bhī nipaT jaa.e