Aslam Mahmood

na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke

Aslam Mahmood

na malāl-e-hijr na muntazir haiñ havā-e-shām-e-visāl ke
ham asiir apnī hī zaat ke kisī ḳhvāb ke na ḳhayāl ke
mire shauq-e-sair-o-safar ko ab na.e ik jahāñ kī numūd kar
tire bahr o bar ko to rakh diyā hai kabhī kā maiñ ne khañgāl ke
vo hamīñ the jin ke kamāl kī hai ye kā.enāt bhī mo'tarif
vahī ham ki aaj tamāsh-bīñ hue ḳhud hī apne zavāl ke
jo navāh-e-jāñ meñ muqīm haiñ unhīñ mausamoñ kā tilism hai
kabhī jaam uchhāle nashāt ke kabhī rañg uḌaa.e malāl ke
vahī sub.h o shaam ke marhale vahī ḳhaal o aab ke silsile
vahī qisse nān-o-namak ke haiñ vahī jhagḌe māl-o-manāl ke
tirā ā.īna huuñ maiñ zindagī tire aks kā maiñ amiin huuñ
hai mirī shikast tirā ziyāñ mujhe rakh bachā ke sambhāl ke
mire kār-zār-e-hayāt meñ na koī najīb na kam-nasab
yahāñ naam sirf hunar kā hai yahāñ charche bas haiñ kamāl ke
nahīñ gardishoñ meñ jo vaqt kī ho atā vo sā.at-e-māvarā
na to ibtidā ho na intihā na hoñ silsile mah o saal ke
Top Urdushayar.com