Saifuddin Saif

koi nahin aata samjhane

Saifuddin Saif

Amritsar, Punjab, India

1922-1993
koī nahīñ aatā samjhāne
ab ārām se haiñ dīvāne
tai na hue dil ke vīrāne
thak kar baiTh ga.e dīvāne
majbūrī sab ko hotī hai
milnā ho to laakh bahāne
ban na sakī ahbāb se apnī
vo daanā the ham dīvāne
na.ī na.ī ummīdeñ aa kar
chheḌ rahī haiñ zaḳhm purāne
jalva-e-jānāñ kī tafsīreñ
ek haqīqat laakh fasāne
duniyā bhar kā dard sahā hai
ham ne tere ġham ke bahāne
phir vahshat aa.ī suljhāne
hosh o ḳhirad ke tāne-bāne
phir apne āñchal se havā dī
sho.ala-e-gul ko bād-e-sabā ne
phir vo Daal ga.e dāman meñ
dard kī daulat ġham ke ḳhazāne
aaj phir āñkhoñ meñ phirte haiñ
ahd-e-tamannā ke vīrāne
phir tanhā.ī pūchh rahī hai
kaun aa.e dil ko bahlāne
'saif' vo ġham bhī tishna-e-ḳhūñ hai
ham zinda haiñ jis ke bahāne
Top Urdushayar.com