sub.h se shaam ke āsār nazar aane lage
phir sahāre mujhe be-kār nazar aane lage
us musāfir kī naqāhat kā Thikāna kyā hai
sañg-e-manzil jise dīvār nazar aane lage
un ke jauhar bhī khule apnī haqīqat bhī khulī
ham se khiñchte hī vo talvār nazar aane lage
mire hote dil-e-mushtāq-e-sitam ke hote
yaar minnat-kash-e-aġhyār nazar aane lage
'saif' itnā bhī na kar zabt ki phir un ke huzūr
ḳhāmushī dard kā iz.hār nazar aane lage