umr guzrī mirī shīrīnī-e-guftār ke saath
lab milā.e the kabhī maiñ ne lab-e-yār ke saath
ġham-e-jānāñ kī aziyyat ġham-e-duniyā kā azaab
zindagī maiñ ne guzārī baḌe āzār ke saath
gard meñ Duub gayā silsila-e-shām-o-sahar
vaqt bhī chal nahīñ saktā mirī raftār ke saath
mirī ḳhuddār tabī.at ne bachāyā mujh ko
merā rishta kisī darbār na sarkār ke saath
dekhnā kūcha-e-jānāñ meñ kahīñ 'saif' na ho
ek saayā sā nazar aatā hai dīvār ke saath