Aslam Mahmood

kiya gardishon ke hawale use chaak par rakh diya

Aslam Mahmood

kiyā gardishoñ ke havāle use chaak par rakh diyā
ki banñe bigaḌne kā har faisla ḳhaak par rakh diyā
mujhe qasr-e-ta.abīr kī us ne sab kunjiyāñ sauñp diiñ
magar chhīn kar ḳhvāb āñkhoñ se aflāk par rakh diyā
sivā raakh hone ke ab koī chāra bachā hī nahīñ
sharār-e-havas kis ne ye mere ḳhāshāk par rakh diyā
koī hai jo girdāb-e-ġham se bachā.e hue hai mujhe
ki ik mehrbāñ haath phir chashm-e-namnāk par rakh diyā
koī kaam 'aslam' banā hī nahīñ vahshatoñ ke baġhair
jalā kar charāġh-e-junūñ tāq-e-idrāk par rakh diyā
Top Urdushayar.com