Saifuddin Saif

hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya

Saifuddin Saif

Amritsar, Punjab, India

1922-1993
ham ko to gardish-e-hālāt pe ronā aayā
rone vaale tujhe kis baat pe ronā aayā
kaise jiite haiñ ye kis tarah jiye jaate haiñ
ahl-e-dil kī basar-auqāt pe ronā aayā
jī nahīñ aap se kyā mujh ko shikāyat hogī
haañ mujhe talḳhī-e-hālāt pe ronā aayā
husn-e-maġhrūr kā ye rañg bhī dekhā āḳhir
āḳhir un ko bhī kisī baat pe ronā aayā
kaise mar mar ke guzārī hai tumheñ kyā mālūm
raat bhar tāroñ bharī raat pe ronā aayā
kitne betāb the rim-jhim meñ piyeñge lekin
aa.ī barsāt to barsāt pe ronā aayā
husn ne apnī jafāoñ pe bahā.e aañsū
ishq ko apnī shikāyāt pe ronā aayā
kitne anjān haiñ kyā sādgī se pūchhte haiñ
kahiye kyā merī kisī baat pe ronā aayā
avval avval to bas ek aah nikal jaatī thī
āḳhir āḳhir to mulāqāt pe ronā aayā
'saif' ye din to qayāmat kī tarah guzrā hai
jaane kyā baat thī har baat pe ronā aayā
Top Urdushayar.com