ġham-e-dil kisī se chhupānā paḌegā
ghaḌī do ghaḌī muskurānā paḌegā
ye ālām-e-hastī ye daur-e-zamāna
to kyā ab tumheñ bhuul jaanā paḌegā
bahut bach ke nikle magar kyā ḳhabar thī
idhar bhī tirā āstāna paḌegā
abhī munkir-e-ishq hai ye zamāna
jo dekhā hai un ko dikhānā paḌegā
chalo mai-kade meñ baserā hī kar lo
na aanā paḌegā na jaanā paḌegā
na hogā kabhī faisla kufr o diiñ kā
tumheñ ruḳh se parda haTānā paḌegā
nahīñ bhūltā 'saif' ahd-e-tamannā
magar rafta rafta bhulānā paḌegā