kyuuñ ujaḌ jaatī hai dil kī mahfil
ye diyā kaun bujhā detā hai
vo nahīñ dekhte sāhil kī taraf
jin ko tūfān sadā detā hai
shor din ko nahīñ sone detā
shab ko sannāTā jagā detā hai
tum to kahte the ki rut kā jaadū
dasht meñ phuul khilā detā hai
us kī marzī hai vo har rāhat meñ
rañj thoḌā sā milā detā hai
dukh to detā hai tirā ġham lekin
dil ko iksīr banā detā hai
tujh se pahle dil-e-betāb mujhe
terī aamad kā patā detā hai
jān-e-man ek hasīñ chehra bhī
saarī mahfil ko sajā detā hai
ab tasallī bhī aziyyat hai mujhe
ab dilāsā bhī rulā detā hai