jab vaj.h-e-sukūn-e-jāñ Thahar jaa.e
phir kaise dil-e-tapāñ Thahar jaa.e
manzil kī musāfiro na pūchho
mil jaa.e jise jahāñ Thahar jaa.e
allāh-re ḳhirām-e-nāz un kā
ik baar to āsmāñ Thahar jaa.e
kyā jāniye qāfila vafā kā
luT jaa.e kahāñ kahāñ Thahar jaa.e
ye raat ye TūTtī umīdeñ
allāh ye kārvāñ Thahar jaa.e
hai mauj meñ 'saif' kashtī-e-dil
ma.alūm nahīñ kahāñ Thahar jaa.e