kyā manzil-e-ġham simaT ga.ī hai
ik aah meñ raah kaT ga.ī hai
phir sāmne hai pahāḌ sī raat
phir shaam se niiñd uchaT ga.ī hai
pahlū meñ ye kaisā dard uThā hai
ye kaun sī raah kaT ga.ī hai
aap aa.e nahīñ to maut kambaḳht
aa aa ke palaT palaT ga.ī hai
uTh uTh ke marīz-e-ġham ne pūchhā
kyā hijr kī raat kaT ga.ī hai
phir 'saif' havā-e-yād-e-rafta
har ġham kī naqāb ulaT ga.ī hai