maiñ ek ret kā paikar thā aur bikhar bhī gayā
ajab thā ḳhvāb ki maiñ ḳhvāb hī meñ Dar bhī gayā
havā bhī tez na thī aur charāġh mar bhī gayā
maiñ sāmne bhī rahā zehn se utar bhī gayā
na ehtiyāt koī kaam aayā ishq ke saath
jo rog dil meñ chhupā thā vo kaam kar bhī gayā
ajab thī hijr kī saa.at ki jaañ pe ban aa.ī
kaḌā thā vaqt vo dil par magar guzar bhī gayā
havā se dostī jis ko thā mashvara merā
usī charāġh kī lau se maiñ aaj Dar bhī gayā
kabhī na mujh ko Darā.egā mere bātin se
ye ahd kar ke mirā ā.īna mukar bhī gayā
kināre vaale mujhe bas sadā.eñ dete rahe
bhañvar ko naav banā kar maiñ paar utar bhī gayā
maiñ ḳhāk-e-pā sahī kam-tar mujhe na jaan ki maiñ
ġhubār ban ke uThā āsmān par bhī gayā
maiñ apne jism ke andar thā āfiyat se magar
lahū ke sail-e-balā-ḳhez meñ ye ghar bhī gayā
ḳhatā ye thī ki maiñ āsāniyoñ kā tālib thā
sazā ye hai ki mirā tīsha-e-hunar bhī gayā