Saifuddin Saif

aae the un ke sath nazare chale gae

Saifuddin Saif

Amritsar, Punjab, India

1922-1993
aa.e the un ke saath nazāre chale ga.e
vo shab vo chāñdnī vo sitāre chale ga.e
shāyad tumhāre saath bhī vāpas na aa sakeñ
vo valvale jo saath tumhāre chale ga.e
kashtī taḌap ke halqa-e-tūfāñ meñ rah ga.ī
dekho to kitnī duur kināre chale ga.e
har āstāñ agarche tirā āstāñ na thā
har āstāñ pe tujh ko pukāre chale ga.e
shām-e-visāl ḳhāna-e-ġhurbat se ruuTh kar
tum kyā ga.e nasīb hamāre chale ga.e
dekhā to phir vahīñ the chale the jahāñ se ham
kashtī ke saath saath kināre chale ga.e
mahfil meñ kis ko tāb-e-huzūr-e-jamāl thī
aa.e tirī nigāh ke maare chale ga.e
jaate hujūm-e-hashr meñ ham āsiyān-e-dahr
ai lutf-e-yār tere sahāre chale ga.e
dushman ga.e to kashmakash-e-dostī ga.ī
dushman ga.e ki dost hamāre chale ga.e
jaate hī un ke 'saif' shab-e-ġham ne aa liyā
ruḳhsat huā vo chāñd sitāre chale ga.e
Top Urdushayar.com