Saifuddin Saif

kitna bekar tamanna ka safar hota hai

Saifuddin Saif

Amritsar, Punjab, India

1922-1993
kitnā bekār tamannā kā safar hotā hai
kal kī ummīd pe har aaj basar hotā hai
yuuñ maiñ sahmā huā ghabrāyā huā rahtā huuñ
jaise har vaqt kisī baat kā Dar hotā hai
din guzartā hai to lagtā hai baḌā kaam huā
raat kaTtī hai to ik ma.arka sar hotā hai
log kahte haiñ muqaddar kā navishta jis ko
ham nahīñ mānte har chand magar hotā hai
'saif' is daur meñ itnā bhī ġhanīmat samjho
qaid meñ rauzan-e-dīvār bhī dar hotā hai
Top Urdushayar.com