qarīb maut khaḌī hai zarā Thahar jaao
qazā se aañkh laḌī hai zarā Thahar jaao
thakī thakī sī fazā.eñ bujhe bujhe taare
baḌī udaas ghaḌī hai zarā Thahar jaao
nahīñ umiid ki ham aaj kī sahar dekheñ
ye raat ham pe kaḌī hai zarā Thahar jaao
abhī na jaao ki tāroñ kā dil dhaḌaktā hai
tamām raat paḌī hai zarā Thahar jaao
phir is ke ba.ad kabhī ham na tum ko rokeñge
laboñ pe saañs aḌī hai zarā Thahar jaao
dam-e-firāq maiñ jī bhar ke tum ko dekh to luuñ
ye faisle kī ghaḌī hai zarā Thahar jaao