Saifuddin Saif

kuchh to rangini-e-afkar khule

Saifuddin Saif

Amritsar, Punjab, India

1922-1993
kuchh to rangīni-e-afkār khule
'saif' chal matla-e-anvār khule
barg-e-gul jaise havā ke ruḳh par
kis latāfat se lab-e-yār khule
tū zarā band-e-qabā khol to de
jauhar-e-nāfa-e-tātār khule
dekh ai kūcha-e-jānāñ kī havā
dil ke darvāze ka.ī baar khule
zaḳhm-e-dil ham ne chhupā.e varna
terī āñkhoñ ne kiye vaar khule
vaah kyā Dhañg haiñ sayyādoñ ke
log phirte haiñ giraftār khule
kyā isī tarah guzar jā.egī
kuchh to un par bhī dil-e-zār khule
hasrat-e-dīd pas-e-marg na pūchh
rah ga.e dīda-e-bedār khule
lab-e-ḳhāmosh ko vā kar zālim
ye hai iqrār ki inkār khule
saaf baḳhshe ga.e vo hashr ke din
jo nazar aa.e gunahgār khule
ka.abe jā kar bhī hameñ kashf huā
but-kade meñ bhī kuchh asrār khule
ham bhī qismat kā likhā dekheñge
'saif' chal nāma-e-dildār khule
Top Urdushayar.com