hasīn rātoñ jamīl tāroñ kī yaad sī rah ga.ī hai baaqī
kuchh apnī ujḌī huī bahāroñ kī yaad sī rah ga.ī hai baaqī
har ek mahfil paḌī hai suunī tamām mele bichhaḌ chuke haiñ
sitamgaroñ kī sitam-shi.āroñ kī yaad sī rah ga.ī hai baaqī
ġham-e-vafā kahne sunñe vaale kahāñ ga.e ahl-e-dil na jaane
tumhārī ulfat ke rāz-dāroñ kī yaad sī rah ga.ī hai baaqī
vo shaam se aarzū sahar kī vo be-kalī raat raat bhar kī
un āshnā āshnā sitāroñ kī yaad sī rah ga.ī hai baaqī
udhar bhī ahd-e-vafā ke TukḌe khaTak ke pahlū meñ so chuke haiñ
yahāñ bhī TuuTe hue sahāroñ kī yaad sī rah ga.ī hai baaqī
gilā nahīñ 'saif' be-kasī kā kisī kā ġham kaun pūchhtā hai
yahī bahut hai ki ġham-gusāroñ kī yaad sī rah ga.ī hai baaqī