Saifuddin Saif

teri aankhon mein rang-e-masti hai

Saifuddin Saif

Amritsar, Punjab, India

1922-1993
terī āñkhoñ meñ rañg-e-mastī hai
haañ mujhe etibār-e-hastī hai
merā honā bhī koī honā hai
merī hastī bhī koī hastī hai
jaan kā rog hai ye girya-e-ġham
umr bhar ye ghaTā barastī hai
jis tarah chāñdnī mazāroñ par
dil pe yuuñ be-kasī barastī hai
dil-e-vīrāñ ko dekhte kyā ho
ye vahī aarzū kī bastī hai
'saif' is zindagī ko kyā kahiye
ek mayyat-ba-dosh hastī hai
Top Urdushayar.com