Saifuddin Saif

ek se ek hai ghaarat-gar-e-iman yahan

Saifuddin Saif

Amritsar, Punjab, India

1922-1993
ek se ek hai ġhārat-gar-e-īmān yahāñ
ai mire dil tirā allāh nigahbān yahāñ
chhoḌ kar jā.ūñ tire shahr kī galiyāñ kaise
dil yahāñ ruuh yahāñ jism yahāñ jaan yahāñ
kis se pūchhūñ ki vo be-mehr kahāñ rahtā hai
dil-e-be-tāb mirī jaan na pahchān yahāñ
jaane is shahr kā meyār-e-sadāqat kyā hai
but bhī hāthoñ meñ liye phirte haiñ qur.ān yahāñ
TuuT jaa.e to ise dil kā laqab miltā hai
chaak ho jaa.e to hotā hai garebān yahāñ
aur hoñge jinheñ tūfān Dubo detā hai
ham jo Duube to bahut ā.eñge tūfān yahāñ
ab yahī log kareñge na.ī duniyā ta.amīr
tū ne dekhā hai jinheñ be-sar-o-sāmān yahāñ
'saif' kyā ḳhuub zamāne kī havā badlī hai
taḳht-e-tā.ūs pe aa baiThe haiñ darbān yahāñ
Top Urdushayar.com