qazā kā vaqt ruḳhsat kī ghaḌī hai
zarā Thahro ki ye manzil kaḌī hai
jise tum chhoḌ kar ruḳhsat hue the
vo bastī aaj tak suunī paḌī hai
abhī tak dil ke vīrāne meñ jaise
tamannā haath phailā.e khaḌī hai
mire dushman bhī ab to aa rahe haiñ
tumheñ kis vaqt jaane kī paḌī hai
tumhāre dard-mandoñ kī ḳhabar le
ġham-e-daurāñ ko aisī kyā paḌī hai
kisī kī yaad 'saif' aur dil kī hālat
ghanā jañgal akelī jhoñpaḌī hai