gulshan hai usī kā naam agar hairāñ hoñ bayābāñ kyā hogā
hañgām-e-bahārāñ jab ye hai anjām-e-bahārāñ kyā hogā
ye jañg to laḌnā hī hogī har barg se chāhe ḳhuuñ Tapke
kāñToñ se jo gul Dar jā.egā dārā-e-gulsitāñ kyā hogā
ulfat ko miTāne ke dar pe duniyā aur maiñ is soch meñ huuñ
ulfat na rahegī jab baaqī ḳhvāb-e-dil-e-insāñ kyā hogā
maiñ dard bhī tum se jī lūñgā tum mere liye kuchh ġham na karo
maanā ki pareshāñ dil hogā aisā bhī pareshāñ kyā hogā
jis haath meñ hai shamshīr-o-tabar kyā us se umīd-e-barg-o-samar
jo shāḳh-e-nasheman toḌegā memār-e-gulistāñ kyā hogā
āvāz-e-zamīr apnī sun kar 'mullā' ne banā lī rāh-e-amal
ye fikr kabhī us ko na huī andāz-e-harīfāñ kyā hogā