Anand Narayan Mulla

mohabbat se bhi kar-e-zindagi aasan nahin hota

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
mohabbat se bhī kār-e-zindagī āsāñ nahīñ hotā
bahal jaatā hai dil ġham kā magar darmāñ nahīñ hotā
kalī dil kī khile afsos ye sāmāñ nahīñ hotā
ghaTā.eñ ghir ke aatī haiñ magar bārāñ nahīñ hotā
mohabbat ke evaz meñ o mohabbat DhūñDne vaale
ye duniyā hai yahāñ aisā are nādāñ nahīñ hotā
dil-e-nākām ik tū hī nahīñ hai sirf mushkil meñ
use inkār karnā bhī to kuchh āsāñ nahīñ hotā
hañsī meñ ġham chhupā lenā ye sab kahne kī bāteñ haiñ
jo ġham dar-asl ġham hotā hai vo pinhāñ nahīñ hotā
zamāne ne ye taḳhtī kisht-e-armāñ par lagā dī hai
gul is kyārī meñ aatā hai magar ḳhandāñ nahīñ hotā
kahīñ kyā tum se ham apne dil-e-majbūr kā aalam
samajh meñ vaj.h-e-ġham aatī hai aur darmāñ nahīñ hotā
ma.āl-e-iḳhtilāf-e-bāhamī afsos kyā kahiye
har ik qatre meñ shorish hai magar tūfāñ nahīñ hotā
dayār-e-ishq hai ye zarf-e-dil kī jāñch hotī hai
yahāñ poshāk se andāza-e-insāñ nahīñ hotā
ġhurūr-e-husn terī be-niyāzī shān-e-istiġhnā
jabhī tak hai ki jab tak ishq be-pāyāñ nahīñ hotā
sadā-e-bāzgasht aatī hai ayyām-e-guzishta kī
ye dil vīrān ho jaane pe bhī vīrāñ nahīñ hotā
mohabbat to bajā-e-ḳhud ik īmāñ hai are 'mullā'
mohabbat karne vaale kā koī īmāñ nahīñ hotā
Top Urdushayar.com