dekhā kuchh aaj yuuñ kisī ġhaflat-shi.ār ne
maiñ apnī umr-e-rafta ko dauḌā pukārne
hañgāma-e-shabāb kī poñchho na sar-guzasht
apne chaman ko luuT liyā ḳhud bahār ne
paikān-e-tīr zahr meñ itne bujhe na the
kuchh aur kar diyā hai nazar ko ḳhumār ne
tammat-ba-ḳhair dil kī shikāyat kī dāstāñ
hoñToñ ko sī diyā nigah-e-sharmsār ne
himmat paḌī na shaiḳh se kahne kī mohtasib
aa.e ho ik ġharīb pe ġhussa utārne
vo to kaho ki aa.ī qafas tak bhī bū-e-gul
varna bhulā diyā thā hameñ to bahār ne
jo tañg-e-gul the turra-e-dastār ban ga.e
jo gul the aa.e turbat-e-be-kas sañvārne
aa.e ho kyā tumhīñ mujhe āvāz do zarā
āñkhoñ kā nuur chhīn liyā intizār ne
ālām-e-rozgār se 'mullā' ko kyā ġharaz
apnā banā liyā hai use chashm-e-yār ne