Anand Narayan Mulla

saf-e-hayat se jab koi tishna-kaam aaya

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
saf-e-hayāt se jab koī tishna-kām aayā
nizām-e-sāqī-e-mahfil pe ittihām aayā
milā bhī to vo ġham-e-zindagī ke kaam aayā
mire liye har ik aañsū meñ ek jaam aayā
lab-e-kalīm pe aayā na phir savāl koī
hazār barq-e-pashemāñ kā phir payām aayā
adū ko baḳhsh diye ham ne kausar-o-tasnīm
ye kis ke hoñToñ ko chhū kar hamārā jaam aayā
khaḌā huuñ der se gum ziist ke dorāhe par
jo kārvāñ se chuTātā hai vo maqām aayā
koī musavvir-e-hastī kā shāhkār bhī hai
abhī talak to har ik naqsh-e-nā-tamām aayā
harīf ban ke jahāñ jab miTā sakā na hameñ
to dost ban ke mohabbat kā le ke naam aayā
mujhe miTā ke vo thoḌī hī der ḳhush se rahe
phir us ke ba.ad mohabbat kā intiqām aayā
ḳhushā vo sā.at-e-firdaus jab ki pahle pahal
kisī ke lab pe zarā ruk ke apnā naam aayā
rah-e-hayāt hai suunī maqām-e-ishq ke ba.ad
yahāñ talak to har ik dil subuk-ḳhirām aayā
hañsūñ ki ro.uuñ maiñ apnī hayāt par 'mullā'
havā se bach ke sahar tak charāġh-e-shām aayā
Top Urdushayar.com