ġham ke bādal phir bhī chhā.e rah ga.e
aañkh se dariyā ke dariyā bah ga.e
ḳhauf-e-uqbā aur is duniyā ke ba.ad
vo bhī sah leñge jo ye ġham sah ga.e
kis ne dekhā hai jamāl-e-rū-e-dost
sab naqāboñ meñ ulajh kar rah ga.e
muḳhtasar thī dāstān-e-arz-e-shauq
bujh ke kuchh taare mizha par rah ga.e
ziist hai ik shaam afsāne kā naam
apnī apnī dāstāñ sab kah ga.e
tab kahīñ jā kar milī sat.h-e-sukūñ
Duub kar jab ġham meñ tah-dar-tah ga.e
vaar kar ke ziist bhāgī aur ham
āstīñ apnī chaḌhāte rah ga.e
chand shaitāñ band kar ke ḳhush haiñ yuuñ
jaise bāhar sab farishte rah ga.e
ashk ban paa.e na ġham ke tarjumāñ
ye numā.ish hī meñ apnī rah ga.e
zindagī se laḌ na paayā josh-e-dil
par bahut tole magar rah rah ga.e
ashk the jab tak farozāñ ġham na thā
ab añdhere meñ akele rah ga.e
jebeñ sab yāroñ ne bhar liiñ bazm meñ
ek 'mullā' the jo yūñhī rah ga.e