Anand Narayan Mulla

nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iKHtitam aaya

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
nigāh-o-dil kā afsāna qarīb-e-iḳhtitām aayā
hameñ ab is se kyā aa.ī sahar yā vaqt-e-shām aayā
zabān-e-ishq par ik chīḳh ban kar terā naam aayā
ḳhirad kī manzileñ tai ho chukīñ dil kā maqām aayā
uThānā hai jo patthar rakh ke siine par vo gaam aayā
mohabbat meñ tirī tark-e-mohabbat kā maqām aayā
ise aañsū na kah ik yād-e-ayyām-e-guzishta hai
mirī umr-e-ravāñ ko umr-e-rafta kā salām aayā
zarā lau aur dil kī tez kar siilā sā ye sho.ala
na raushan kar sakā ghar ko na mahfil hī ke kaam aayā
mukammal tabsira kartā huā ayyām-e-rafta par
nigāh-e-be-suḳhan meñ ek ashk-e-be-kalām aayā
tavānā ko bahāna chāhiye shāyad tashaddud ko
phir ik majbūr par shorīdgī kā ittihām aayā
na jaane kitnī sham.eñ gul huiiñ kitne bujhe taare
tab ik ḳhurshīd itrātā huā bālā-e-bām aayā
barahman āb-e-gañgā shaiḳh kausar le uḌā us se
tire hoñToñ ko jab chhūtā huā 'mullā' kā jaam aayā
Top Urdushayar.com