Anand Narayan Mulla

fitna phir aaj uThane ko hai sar lagta hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
fitna phir aaj uThāne ko hai sar lagtā hai
ḳhuun hī ḳhuun mujhe rañg-e-sahar lagtā hai
ilm kī dev-qadī dekh ke Dar lagtā hai
āsmānoñ se ab insān kā sar lagtā hai
mujh ko lagtā hai nasheman kī mire ḳhair nahīñ
jab kisī shāḳh pe gulshan meñ tabar lagtā hai
maan lo kaise ki maiñ aib sarāpā huuñ faqat
mere ahbāb kā ye husn-e-nazar lagtā hai
kal jise phūñkā thā yā kah ke ki dushman kā hai ghar
sochtā huuñ to vo aaj apnā hī ghar lagtā hai
fan hai vo rog jo lagtā nahīñ sab ko lekin
jis ko lagtā hai use zindagī-bhar lagtā hai
ehtiyātan koī dar phoḌ leñ dīvār meñ aur
shor baḌhtā huā kuchh jānib-e-dar lagtā hai
ek darvāza hai har-samt nikalne ke liye
ho na ho ye to mujhe shaiḳh kā ghar lagtā hai
chaman-e-sher meñ huuñ ik shajar-e-zinda magar
abhī 'mullā' mirī Daalī ye samar lagtā hai
Top Urdushayar.com