kyuuñ ziist kā har ek fasāna badal gayā
ye ham badal ga.e ki zamāna badal gayā
sayyād yaañ vahī vahī taa.ir vahī haiñ daam
lekin jo zer-e-dām thā daana badal gayā
bāzī-e-husn-o-ishq meñ kuchh haar hai na jiit
nazreñ milīñ diloñ kā ḳhazāna badal gayā
baḳht-e-bashar vahī hai bisāt-e-jahāñ vahī
har daur-e-nau meñ maat kā ḳhāna badal gayā
tāqat ke dosh par hai azal se bashar kī laash
bas thoḌī thoḌī duur pe shāna badal gayā
mahfil ke hasb-e-zauq hai mutrib kā saaz bhī
mahfil badal ga.ī to tarāna badal gayā
in dāġh-hā-e-dil meñ koī zaḳhm-e-nau nahīñ
shāyad kisī nazar kā nishāna badal gayā
'mullā' ko zor-e-tab.a huā faisloñ kī nazr
dariyā abhī vahī hai dahāna badal gayā