ye dil āvezī-e-hayāt na ho
agar āhañg-e-hādsāt na ho
terī nārāzgī qubūl magar
ye bhī kyā bhuul kar bhī baat na ho
ziist meñ vo ghaḌī na aa.e ki jab
haat meñ mere terā haat na ho
hañsne vaale rulā na auroñ ko
sub.h terī kisī kī raat na ho
ishq bhī kaam kī hai chiiz agar
yahī bas dil kī kā.enāt na ho
kaun us kī jafā kī laa.e taab
gaahe gaahe jo iltifāt na ho
rind kuchh kar rahe haiñ sargoshī
zikr-e-'mullā' se ḳhush-sifāt na ho