bashar ko mash.al-e-īmāñ se āgahī na milī
dhuāñ vo thā ki nigāhoñ ko raushnī na milī
ḳhushī kī ma.arifat aur ġham kī āgahī na milī
jise jahāñ meñ mohabbat kī zindagī na milī
jigar na thā ki koī phāñs sī chubhī na milī
jahāñ kī ḳhaak uḌaa.ī kahīñ ḳhushī na milī
ye kah ke āḳhir-e-shab sham.a ho ga.ī ḳhāmosh
kisī kī zindagī lene se zindagī na milī
laboñ pe phail ga.ī ek mauj-e-ġham akasr
bichhaḌ ke tujh se hañsī kī tarah hañsī na milī
tavāf-e-sham.a patañgoñ kā jal ke bhī hai vahī
jigar kī aag se āñkhoñ ko raushnī na milī
sabāt pā na sakegā koī nizām-e-chaman
fasurda ġhunchoñ ko jis meñ shaguftagī na milī
falak ke tāroñ se kyā duur hogī zulmat-e-shab
jab apne ghar ke charāġhoñ se raushnī na milī
abhī shabāb hai kar luuñ ḳhatā.eñ jī bhar ke
phir is maqām pe umr-e-ravāñ milī na milī
vo qāfile ki falak jin ke paañv kā thā ġhubār
rah-e-hayāt se bhaTke to gard bhī na milī
vo tīra-baḳht haqīqat meñ hai jise 'mullā'
kisī nigāh ke saa.e kī chāñdnī na milī