Anand Narayan Mulla

parde ko jo lau de wo jhalak aur hi kuchh hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
parde ko jo lau de vo jhalak aur hī kuchh hai
nādīda hai sho.ala to lapak aur hī kuchh hai
Takrāte hue jaam bhī dete haiñ khanak sī
laḌtī haiñ nigāheñ to khanak aur hī kuchh hai
ishrat-gah-e-daulat bhī hai gahvāra-e-nik.hat
mehnat ke pasīne kī mahak aur hī kuchh hai
haañ josh javānī bhī hai ik ḳhuld-e-nazāra
ik tifl kī ma.asūm humak aur hī kuchh hai
shab ko bhī mahaktī to haiñ ye adh-khilī kaliyāñ
jab chuum leñ kirneñ to mahak aur hī kuchh hai
kamzor to jhuktā hī hai qānūn ke aage
tāqat kabhī lachke to lachak aur hī kuchh hai
ashkoñ se bhī ho jaatā hai āñkhoñ meñ charāġhāñ
bin-barsī nigāhoñ kī chamak aur hī kuchh hai
ro kar bhī thake jism ko niiñd aatī hai lekin
bachche ke liye maañ kī thapak aur hī kuchh hai
bazm-e-adab-e-hind ke har gul meñ hai ḳhushbū
'mullā' gul-e-urdu kī mahak aur hī kuchh hai
Top Urdushayar.com