har jalve pe nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
āñkhoñ ko ḳhizr-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
miTne na paa.e tāzgī-e-lazzat-e-gunāh
tauba bhī gaah gaah kiye jā rahā huuñ maiñ
kaisī ye zindagī hai ki phir bhī hai shauq-e-zīst
gauhar-nafas ik aah kiye jā rahā huuñ maiñ
ashkoñ kī mash.aloñ ko farozāñ kiye hue
tai iltijā kī raah kiye jā rahā huuñ maiñ
ḳhud jis ke sāmne siper-andāḳhta hai husn
aisī bhī ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
shāyad kabhī vo bhuul ke rakkheñ idhar qadam
āñkhoñ ko farsh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
baḌhtī hī jā rahī haiñ tirī kam-nigāhiyāñ
kyā dil meñ tere raah kiye jā rahā huuñ maiñ
zulmāt-e-dair-o-ka.aba meñ kuchh raushnī sī hai
shāyad koī gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
'mullā' har ek taaza musībat pe hañs ke aur
kaj gosha-e-kulāh kiye jā rahā huuñ maiñ