Anand Narayan Mulla

aaina-e-rangin-e-jigar kuchh bhi nahin kya

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
ā.īna-e-rañgīn-e-jigar kuchh bhī nahīñ kyā
kyā husn hī sab kuchh hai nazar kuchh bhī nahīñ kyā
chashm-e-ġhalat-andāz ke shāyāñ bhī na Thahre
jazb-e-ġham-e-pinhāñ meñ asar kuchh bhī nahīñ kyā
nazreñ haiñ kisī kī ki hai ik ātish-e-sayyāl
yuuñ aag lagāne meñ ḳhatar kuchh bhī nahīñ kyā
adnā sā ishāra bhī hai jis kā mujhe ik hukm
us par mirī aahoñ kā asar kuchh bhī nahīñ kyā
maanā mire jalne se na aañch aa.egī tum par
lekin mire jalne meñ zarar kuchh bhī nahīñ kyā
yuuñ bhī koī duniyā kī nigāhoñ se na gir jaa.e
'mullā' ko burā kahne meñ Dar kuchh bhī nahīñ kyā
Top Urdushayar.com