hayāt ik sāz-e-be-sadā thī surūd-e-umr-e-ravāñ se pahle
bashar kī taqdīr so rahī thī ḳhatā-e-bāġh-e-jināñ se pahle
nazar ne kī nazr-e-rūh-o-dil pesh-e-lab pe shor-e-fuġhāñ se pahle
adā huā sajda-e-mohabbat ḳharosh-e-bāñg-e-azāñ se pahle
badal gayā ishq kā zamāna kahāñ se pahuñchā kahāñ fasāna
unheñ bhī mujh par zabān aa.ī vahī jo the be-zabāñ se pahle
kise ḳhabar thī ki ban ke barq-e-ġhazab giregā yahī chaman par
vo husn jo muskurā rahā thā naqāb-e-abr-e-ravāñ se pahle
sitam to shāyad maiñ bhuul jaatā agar ye nashtar chubhā na hotā
vo ik nigāh-e-karam jo kī thī nigāh-e-nā-mehrbāñ se pahle
nazar hai vīrāñ mirī to kyā ġham nazar ke jalve to haiñ salāmat
na the tum itne hasīñ mirī mohabbat-e-rā.egāñ se pahle
tirī taraf phir nazar karūñgā nishāt-e-hastī-e-jāvidānī
ḳharīd luuñ lazzat-e-alam kuchh matā-e-umr-e-ravāñ se pahle
bichhaḌ ga.e rāh-e-zīst meñ ham tumheñ bhī is kā agar hai kuchh ġham
chaleñ vahīñ se phir aao bāham chale the ham tum jahāñ se pahle
qafas kī lohe kī tīliyāñ ab unhīñ kī zarboñ se ḳhūñ-chakāñ haiñ
yahī jo the muntashir se tinke tasavvur-e-āshiyāñ se pahle
chaman meñ hañsne se phir na rokūñgā ġhuncha-e-sāda-lauh tujh ko
magar zarā āshnā to ho jā tabī.at-e-bāġhbāñ se pahle
nazar ke sho.ale diloñ meñ ik aag har do jānib lagā chuke haiñ
bas ab to ye rah gayā hai baaqī ki lau uThegī kahāñ se pahle
na DhūñDo 'mullā' ko kārvāñ meñ phiregā sahrā meñ vo akelā
kisī sabab se jo tā-ba-manzil na aa sakā kārvāñ se pahle