Anand Narayan Mulla

chiz dil hai ruKH-e-gulfam mein kya rakkha hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997
chiiz dil hai ruḳh-e-gulfām meñ kyā rakkhā hai
kaif sahbā meñ hai ḳhud jaam meñ kyā rakkhā hai
gungunātā huā dil chāhiye jiine ke liye
is nazā-e-sahar-o-shām meñ kyā rakkhā hai
kaun kis tarah se hotā hai harīf‌‌‌‌-e-mai-e-zīst
aur talḳhāba-e-ayyām meñ kyā rakkhā hai
ishq kartā hai to kar aur nigāhoñ ko buland
rishta-e-rah-guzar-o-bām meñ kyā rakkhā hai
murġh-e-āzād huā kyā tirī ḳhuddārī ko
chand dānoñ ke sivā daam meñ kyā rakkhā hai
husn fankār kī ik chheḌ hai ishq-e-nādāñ
bevafā.ī ke is ilzām meñ kyā rakkhā hai
dekhnā ye hai ki vo dil meñ makīñ hai ki nahīñ
chāhe jis naam se ho naam meñ kyā rakkhā hai
deñ mire zauq-e-parastish ko duā.eñ 'mullā'
varna patthar ke in asnām meñ kyā rakkhā hai
Top Urdushayar.com